Singer Aamir Khan, Alka Yagnik
Music Jatin Pandit, Lalit Pandit
LYRICS       Sameer


ISS DEWAANE LADKE KO  LYRICS

Arz hai,


Dawa bhi kaam na aaye

koi dua na lage
Dawa bhi kaam na aaye

koi dua na lage
Mere khuda kisi ko

pyar ki hawa na lage


Is deewane ladke ko koi samjhaye
Pyar mohabbat se na jaane kyun yeh ghabraye


Is deewane ladke ko koi samjhaye
Pyar mohabbat se na jaane kyun yeh ghabraye


Dard-e-dil, jaane na, paas maein jitna aaun
Utni door yeh jaaye jaaye haan jaaye


Is deewane ladke ko koi samjhaye
Pyar mohabbat se na jaane kyun yeh ghabraye


Dard-e-dil, jaane na paas maein jitna aaun
Utni door yeh jaaye jaaye, haan jaaye


Is deewane ladke ko koi samjhaye


Pyar mohabbat se na jaane,
Kyun yeh ghabraye


Rang na dekhe roop na dekhe,
Yeh jawaani ki dhoop na dekhe


Arz hai,


Kuch majnu bane kuch raanjha bane

Kuch romeo kuch farhad hue

Is rang roop ki chaahat mein

Jaane kitne barbaad hue vo dekho


Ishq mein iske baanvri hoon mein
Yeh bhala hai to kya buri hoon mein


Yeh ladka hai phir bhi jaane kyun sharmaaye
Jaane kyun sharmaaye


Jaane kyun sharmaaye haan sharmaaye
Is deewane ladke ko koi samjhaye


Pyar mohabbat se na jaane kyun yeh ghabraye


Jaanti hoon mein yeh tadapta hai
Pyar mein iska dil dhadakta hai


Jise dekho dil ki dhuni ramata hai
Are yeh mandir nahin hai shivala nahin hai


Haseenon se kehdo kahin aur jayen
Mera dil hai dil dharamshala nahin hai


Yeh akele mein aah bharta hai
Phir bhi kehne se yeh kyun darta hai


Sach kuchh bhi bole na jhoothi baat banaaye
Jhoothi baat banaaye haan banaaye


Is deewane ladke ko koi samjhaye
Pyar mohabbat se na jaane kyun yeh ghabraye


Dard-e-dil, jaane na paas maein jitna aaun
Utni door yeh jaaye jaaye haan jaaye


Is deewane ladke ko koi samjhaye


Pyar mohabbat se na jaane,
Kyun yeh ghabraye


Phool khilna bahaaron ka sama hota hai
Aise mausam mein hi to pyar jawaan hota hai


Dil ki baaton ko hothon se nahin kehte
Yeh fasaana to nigaahon se bayaan hota hai