Singer Ghanshyam Vaswani, Hariharan, Pratima Rao, Ravinder Rawal, Santosh Tiwari
Music Ram Laxman
LYRICS   Dev kohli



YE TO SACH HAI KI BHAGWAN HAI LYRICS

Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhi anjaan hai


Dharti pe roop maa baap ka,
Us vidhaata ki pehchaan hai…


Janmdaata hai jo, naam jinse mila
Thamkar jinki ungli hai bachpan chala


Kaandhe par baithke, jinke dekha jahaan
Gyan jinse mila, kya bura kya bhala


Itne upkaar hain kya kahen
Yeh bataana na aasaan hai


Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai


Janam deti hai jo, maa jise jag kahe
Apni santaan mein, pran jiske rahe


Loriyan hothon par, sapne bunti nazar
Neend jo vaar de, hanske har dukh sahe


Mamta ke roop mein hai prabhu
Aapse paaya vardaan hai


Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai


Aapke khwab hum, aaj hokar jawaan
Us param shakti se karte hain prarthna


Unki chhaya rahe, rehti duniya talak
Ek pal reh sake hum na jinke bina


Aap dono salaamat rahe
Sabke dil mein yeh armaan hai


Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai


Yeh to sach hai ki bhagwan hai